Chehra chikna kyun hota hai
Jild ke tel ke ghadood garmi aur hormones ki wajah se zyada tel banate hain. Sakht face wash aur moisturizer chhor dena masla barhata hai, kyun ke jild sookh kar aur tel banati hai.
Subah aur raat ka routine
Subah: narm face wash, niacinamide serum, halka moisturizer, sunblock. Raat: face wash, serum, moisturizer. Daane hon to raat ko salicylic acid wash.
Swipe the table sideways to see every column.
| Step | Kya lagayein | Elluvi option |
|---|---|---|
| Face wash | Narm gel wash, din mein do baar | Brightening Face Wash Rs. 849 (glycolic, din mein ek baar) |
| Serum | Niacinamide 5–10% | Hydra Glow Serum Rs. 1,149 |
| Moisturizer | Halka gel ya lotion | Hydrating Moisturiser Rs. 1,249 |
| Sunblock | Matte ya gel SPF 30–50 | Primer Gel Sunscreen, 24 October se |
Kya na karein
Din mein do se zyada baar mun na dhoyein, scrub na karein, aur moisturizer na chhorein. Alcohol wala toner aur besan-lemon jaise totkay jild ko kharab karte hain.



