Rang gora karne ka tarika: kya kaam karta hai, kya nahin
Seedhi baat pehle: jo rang aap le kar paida hue hain, usay koi cream ya nuskha badal nahin sakta. Jo badal sakta hai wo hai rangat ka unevenness — dhoop se kalapan, daagh dhabbe, jhaiyan aur dullness. Yeh sab waqai halka hota hai, magar 8 se 12 hafton mein. Jo tarika aik din ya aik hafte ka wada kare, wo ya to kaam nahin karta ya jild ko nuqsan pohanchata hai.
Reviewed
See the matching concern routineRangat aur safai mein farq
Aap ka base rang melanin se banta hai jo jild musalsal banati hai — usay koi cosmetic nahin rokta. Lekin dhoop, garmi, daane aur sozish se jo extra kalapan aata hai, wo alag cheez hai aur wo utarta hai. Isi liye imaandar product rangat ko ek-saan karta hai, gora nahin karta.
Zyada tar log jo "gora" hone ka farq dekhte hain, wo asal mein yeh hi hota hai: tan utar gaya, daagh halke ho gaye, dullness khatam hui. Jild apne qudrati rang par wapas aa gayi. Yeh haasil ho sakta hai. Us se aage kuch bhi haasil karne ka daawa jhoot hai.
Ghareloo nuskhe: kaunsa theek, kaunsa khatarnak
Besan aur dahi halka cleanser hain — nuqsan nahin dete, magar rang bhi nahin badalte. Limbu sab se zyada khatarnak hai: wo tezaab hai aur dhoop mein jild par phytophotodermatitis kar sakta hai, yani jalan aur us se bhi gehre daagh.
| Nuskha | Kaam karta hai? | Kya hota hai |
|---|---|---|
| Besan + dahi | Thora | Halki safai. Rang par asar nahin |
| Limbu ka ras | Nahin | Jalan, aur dhoop mein gehre daagh |
| Baking soda | Nahin | Jild ka barrier torta hai |
| Toothpaste daanon par | Nahin | Jalan aur nishan |
| Multani mitti | Thora | Oil kam, rang par asar nahin |
| Bleach cream | Waqti | Baal halke, jild nahin. Sozish |
| Bina label wali cream | Khatarnak | Steroid, rebound, jild patli |
Ek din mein rang gora karne ka tarika
Aisa koi tarika nahin hai. Jild ki upri tehh 4 se 6 hafton mein badalti hai — yeh jismani haqeeqat hai. Jo cheez aik din mein farq dikhaye wo ya makeup hai, ya bleach jo baalon ko halka karta hai, ya steroid jo baad mein ulta asar karta hai.
Shadi ya kisi function se pehle ka sawal aam hai, aur uska imaandar jawab yeh hai: 8 hafte pehle shuru karein. Aik raat pehle koi naya active lagana sab se bura faisla hai, kyunke reaction ka waqt sab se ghalat hoga.
Jo waqai kaam karta hai
Har roz SPF 50 — yeh sab se bara qadam hai, kisi bhi cream se bara. Uske baad alpha arbutin, niacinamide, vitamin C, azelaic acid aur raat ko retinol. Yeh sab dheere kaam karte hain, aur dheere hona hi inki mehfooz hone ki nishani hai.
Elluvi sunscreen nahin banati, aur rangat ke liye wohi sab se zaroori hai — kisi bhi brand ka le lein. Humare paas jo hai wo Hydra Glow Cream hai jismein alpha arbutin 2% aur niacinamide 5% likha hua hai, aur Vitamin C Serum jismein 10% ascorbic acid hai. Hum percentage likhte hain kyunke is market mein zyada tar nahin likhte, aur jo percentage koi bataye hi na, us ka moqabla kisi se nahin ho sakta.
Bina label wali cream ka masla
Market aur parlour mein khuli bikne wali mix cream mein aam tor par steroid, hydroquinone aur retinoid hote hain. Yeh 2 hafte mein farq dikhati hain, phir jild patli karti hain, bareek nasein numaya karti hain, aur chhorne par pehle se gehra rang laut aata hai.
Qaida simple hai: agar cream par ingredient list, batch number aur manufacturer ka naam nahin hai, to wo chehre par nahin jaati — bechne wala chahe jo kahe. Agar aap pehle se aisi cream istemal kar rahi hain, to chhorne par 2 se 4 hafte halat kharab lagti hai; yeh normal hai. Us dauran sirf halka cleanser, moisturiser aur sunscreen — koi naya active nahin.



